Saturday, 29 September 2018

Hadees

Kya tumhe nahi pata ke aasmano aur zameen ki badshahi Allah ki hi hai aur Allah ke siwa tumhara koi bhi himayati aur madad karne wala nahi hai.
(para-2, sureh-Al-bakra, ayet no. 106)

2. Quran

Jo log iman laye, aur hizrat ki aur Allah ki rah me apne maal aur apni jano se jihad kiya Allah ke liye (unke liye) bada darza hai. Aur wahi hai jo murad (Qamiyabi hasil) wale hain. (Para-10, sureh-at-tawba, ayet no-20)

3. Quran

Jo koi akhirat ki kheti chahata hoga, ham usse uski kheti mai badhotri (Barkat) karege. Aur jo koi duniya ki kheti chahata hoga, usse usmai se dege aur uska akhirat mai koi hissa nahi. (para – 25, sureh – As-sura, ayet no – 20)

Hadees :

Nu’man bin Bashir(R.A.) se riwayat hai ki Rasoolullah(S.A.W.) ne farmaya: “Qayamat ke din Jahannami logon me sabse kam azaab paane waala wo shakhs hoga jiske dono pairon ke neeche aag ke angaare rakh diye jaayenge, jis ki wajah se us ka dimaag haandi ki tarah khaulega.
Sahih Al-Bukhari(Hadees No.6562)

Hazrat ALI (RaziAllahu Ta’ala Anhu) Irshad Farmate Hain:

“Hamesha Apni Chhoti- Chhoti Galtiyon Se Bachne Ki Koshish Karo Kiyun Ki Insan Pahaadon Se Nahi Chhote Pat’thron Se Thokar Khata Hai”

No comments: